Shayari on Life - 10+ Best Shayari in Hindi
Looking for new collection Shayari on life then I this article is going to be very special for you. Because we have often seen that people who get demotivated for their for any kind of loss from relationship breakup to someone's death. so, in that case, really helps you to lead a good life in the future.
Hum Bhi Dariya Hain Hamein Apna Hunar Malum Hai,
Jis Taraf Bhi Chal Padenge Raasta Ho Jayega.
Hukumat Baajuon Ke Zor Par Toh Koyi Bhi Kar Le,
Jo Sabke Dil Pe Chha Jaaye Use Insaan Kahte Hain.
Kadmon Ko Baandh Na Payegi Musibat Ki Zanjeerein,
Raston Se Jara Keh Do Abhi Bhatka Nahi Hoon Main.
Mushkilein Jaroor Hain Magar Thehra Nahi Hoon Main,
Manzil Se Jara Keh Do Abhi Pahucha Nahi Hoon Main
Chhu Le Aasmaan Zamin Ki Talaash Na Kar,
Jee Le Zindgi Khushi Ki Talaash Na Kar,
Takdeer Badal Jaayegi Khud Hi Mere Dost,
Muskurana Seekh Le Wajah Ki Talaash Na Kar.
Mushkil Nahi Hai Kuchh Duniya Mein,
Tu Jara Koshish Toh Kar.
Khwab Badlenge Hakeekat Mein,
Tu Jara Koshish Toh Kar.
Aandhiyan Sada Chalti Nahin,
Mushkil Sadaa Rehti Nahin.
Milegi Tujhe Bhi Manzil
Bas
Tu Jara Koshish Toh Kar.
Agar Paana Hai Manzil Toh
Apna Rehnuma Khud Bano,
Woh Aksar Bhatak Jaate Hain
Jinhein Sahara Mil Jata Hai.
Rakh Hausla Woh Manzar Bhi Ayega,
Pyase Ke Paas Chal Ke Samandar Bhi Aayega,
Thak Kar Na Baith Aye Manzil Ke Musafir,
Manzil Bhi Milegi...
Khuda Tafeeq Deta Hai Unhein Jo Yeh Samjhte Hain,
Ke Khud Apne Hi Haathon Se Bana Karti Hain Taqdirein.
Inhin Gam Ki Ghataaon Se Khushi Ka Chaand Niklega,
Andheri Raat Ke Pardon Mein Din Ki Roshni Bhi Hai.
Har Meel Ke Patthar Par Likh Do Yeh Ibaarat,
Manzil Nahi Milti Nakaam Iraadon Se.
Na Humsafar Na Kisi HumNashin Se Niklega,
Humare Paanv Ka Kaanta Humin Se Niklega.
Jab Tutne Lage Hausla Toh Bas Yeh Yaad Rakhna,
Bina Mehnat Ke Haasil Takht-o-Taj Nahi Hote,
Dhundh Lena Andhere Mein Hi Manzil Apni Dosto,
Kyunki Jugnu Kabhi Roshni Ke Mohtaj Nahi Hote.
Zinda Rehna Hai Toh Halaat Se Darna Kaisa,
Jang Lazim Ho Toh Lashkar Nahi Dekhe Jaate.
Abhi Mutthi Nahi Kholi Hain Maine Aasman Sun Le,
Tera Bas Waqt Aaya Hai Mera Toh Daur Aayega.
Comments